Ek pal ka hisaab,
Ek lamha ek saal.
Bahut dhuunda is waqt ka matlab,
Par bujhi nahi hamari talab.

Pehle laga waqt ko samajjh jaye to kesa hoga,
Fir laga thoda waqt aur mil jaaye to acha hoga.

Par ham yu hi waqt ki gahraiyon ko samajhte rahe,
Waqt ka hi waqt barbaad karte rahe. 

Ye waqt to aaj he Kal nahi,
Ab maana hoga jo he wohi sahi.
Warna jab udhar ka ye waqt beetega to waqt kaha see layenge,
Waqt ke udhar ki wo kisht kis waqt se chukayenge.

Featured Image Copyright: Freepik.com